सोमवार, 10 दिसंबर 2012

senao me mahamaree

www.aajtak.comMain senao me mahamari ki news kuch din pahle pedee thi . us news me bataya gaya ki hamari senao me sahido se jyada jawan aatamhatya ya aapne satiyo par hamla kr ke mare hai . main ye batana chahata hu ki ye nobat kab aati hai hamare jawano ko , vo asa q karte hai isake pichhe ki vajah kya hai , ye sab q hota hai . in sab ke pichhe bahut se karan hai . main kuch karan aap sab ko batana chahata hu . senao me officersaahi dino din badti ja rhi hai , jawano ki problem ko ignor kar diya jata hai. har insan ki kuch na kuch problem hoti rhati hai or hamara jawan bhi ek aam insan hai uski bhi ek niji jindgee hai lekin sab ka mind set hai ki jawan hai ye to sirf desh ki seva ke lia hi hai hum ye bhi pta hona chahia ki jawan hua to kya uska koi pariwar nhi hai kya , kya vo ekala hai . main puchhna chahata hu ki war ke samay kitne jawan maidan chhod kar bhage , iska answer ek bhi nhi hoga , us samay hamare jawan ko malum hai ki pariwar se jyada desh ko uski jarurat hai . lekin saanti hone par bhi uske sath asa bartav kiya jata hai or ye vajah hai ki senao me mahamaree ki samsya aa rhi hai. mere khayalat se hamare jawano ki pariwarik problem ko senior officers dawra hal karna tatha samay par chhutee bhejena . 

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें